Kaale Safed Laal Gulaabi
Meethe Khatte Feeke Chatpate
Gungune Surrd Geele Sookhe
main apne ehsaas chunta hu
kudrat har rang deti hai
har swaad chakhati hai
swayam har mausam me main apna mauam chunta hu
Do Chaar Cheh Das
Samay Jagah Jeevan Maran
Sthirtaa Parivartan Vikas Kshaye
main apni avastha chunta hu
apni soch ki dishaayen
astitva or sachhaayee
swayam aginat pathon se main apna path chunta hu
Sahi Galat Safal Asafal
nahi samajhta, nahi tolta swayam ko
main sambhavyata hu swayam ki, bas yahi sambhavyata chunta hu.
Wednesday, 16 January 2008
Vijay Varnadhikaar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Satrangi pankhon wali kavita!!
Bahut bahut sundar ban padi hai yeh chitra-kavita aur usmein se ubhra hai aapka vyaktitwa, aapki chintan aur aapka youg bodh.
Swayam par purna vishwaas aur saath hi bhavishya ki Or sudoor drishti evam use jeene ki lalak ek sacche yogi ki hi ho sakti hai.
Accha laga ki kahin par bhi tutan ya ghutan ka swar nahi hai. Yatharth ke thapede kha kar bhi jin mein itni Atma vishwaas hoti hai, us vyakti ko mera salaam aur Uske jeevan darshan ko mera pranaam.
Ant mein main Sarveshwar Dayal Saxena ji ki do panktiyan yahan par likhna chahti hun.
"Apne par meri aastha
Itni choti nahin ha
Ke voh ishwar ke kandhon par
baithkar hi
In pahadiyon ke paar dekh sake."
Vivek, thanks for letting me have a glimpse of a beautiful creation.
:)
i like the comment better than the poem... i think i'd put this in on the front page itself..!!
Thank u.
Post a Comment