Na tha kuchch to Khuda tha, kuchch na hota to Khuda hota
Duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota ?
Huaa jab Gham se yoon behis to Gham kya sar ke katne ka
Na hota gar juda tan se to zaanoon par dhara hota
Huee muddat ke 'Ghalib' mar gaya par yaad aata hai
Wo har ek baat pe kehana, ke yoon hota to kya hota ?
Wednesday, 22 August 2007
Ghalib
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
5 comments:
Hain jahan jinda sara, kabrastan baki bahot abhi hai
murdo ki is basti me koi jinda hota to kya hota
yahin hain jannat dozakh bas, khuda se parda nahi hai
sabr tute to farz karta hu, khuda khud insan hota to kya hota.
bahut socha ki sochu, socha na gaya
be-ijazat uski, uska khayaal na aya.
bahut socha ki sochu, socha na gaya
be-ijazat uski, uska khayaal na aya.
Post a Comment